Phone me network problem? Try these tips -

Kahi baar phone pe network problem dikhai deta hai.
Aap koi bhi message send kare, call kare ya internet use kare ye kharab network ki wajah se bahot problem hota hai.



Try these tips:

1. Phone ki  battery ko hamesha charge rakhiye:  
Phone pe kam charge ki wajah se network problem dikhayi deta hai. Kyunki kam charge hone ki wajah se phone network search karne ka power nahi mil pata.

2. Signal Booster:
Bahot koshish karne ke baad bhi network problem hai to aap signal booster bhi use kar sakte hain.
Isko repeater bhi kehete hain. Repeater ko ghar ke aesi jagah par rakhe jahan par network ho.

3. Signal rokne wale cheezon ko hatayie:
Apke room me aesi cheezien bhi hoti hai jo aapki network ko aane se rok raha hai. Apne room me koi bhi electronic ya magnet cheezein mat rakhiye.

4. Micro cell:
Micro cell booster ki tarah kaam karta hai. Ye signal laane me madad karta hai. Iss ke liye aapko micro cell ko router ke saath coonect karna hoga. Iska fayda ye hai ki ye aapko us jagah pe bhi network milega jahan  pe network milne ka chance bhi nahi hai.

5.Use Wi-fi:
Agar aap land line broad baand connection use kar rahe hain toh aap wifier use kar ke network thik kar sakte hain. Iske saath aap calling apps ki jariye data call bhi kar sakte hain.

Admin

Post a Comment

Previous Post Next Post