Mobile charge karte samaya nahi kare ye 5 galtiyan ?

Hum apne phone ko charge karte samaya kuch aise galtiyaan kar baithte hain. Jis ki wajah se phone ki battery bahot jald khatam ho jati hai, aur  phone ki battery phulne lagta hai. Iski wajah se kai baar phone blast bhi ho jaati hai. Aaj me aapko kuch aeisi tips bataunga.




  1. Phone charge karte samaya phone ke cover ko nikal ke charge kare. iski wajah se aapki phone bahot jald charge ho jayega. Nahi to ye aapke phone ko overheat kar deta hai. Jiska prabhab sidhe aapke phone ki battery ke upar padta hai.
  2. Apne phone ko kisi dusre phone ki charger se charge mat kariye, aisa karne se phone ki condition bahot jald damage hone lagta hai. Isiliye aap apne phone ko sirf apne phone ke charger se charge kare.
  3. Agar aap apne phone bina flight mode or switch off ke bina charge karte hain to ye galat hai, iski wajah  se aapke phone ki charge bahot jald khatam ho jaati hai.
  4. Aap apne phone 100% hone tak charge mat kariye. Balki 90% ya 95% hone par charge nikal dijiye.
  5. Kuch log apne paas phone ke charger hote hue bhi phone ko desktop ya laptop ke madhyam se USB cable lagake charge karte hain. Iski wajah se phone bahot jald kharab ho jaata hai.

Admin

Post a Comment

Previous Post Next Post