Cockroaches ko ghar se kaise nikale?

Cockroaches dikhne me jitne gande lagte hain utna hi muskil hai unko ghar se bahar nikalna.
Ghar me itne cockroaches hote hain ki log uske piche hit leke ghumte hain.
Aaj me kuch aesi upaya bataunga jis se cockroach aapke ghar se apne aap nikal jayenge.

  • Tej Patta ( Bay leaf ) : Tej patta to sabke ghar me hota hai. Tej paate ko ache se piss kar ghar ke kone me rakh dijiye. Iski sugandh se cockroach ghar se nikal jayega.
  • Laung : Sardi hone par kadha banate waqt laung ko use karte hain. Laung ko ghar ke kone me dalne se cockroach ghar me nahi ghusenge aur agar ghar me hai to chale jayenge.
  • Ande ke chilke ( Egg Shells ) : Hum ande khane ke baad uske chilke ko phek dete hain. Iss ande ke chilke ko aap kitchen ke cabinet ya phir self me rakhdijiye. Phir dekhiye ek bhi cockroach nahi aayenge.
  • Baking soda & Sugar : Thodi si baking soda & sugar ko mix karke ghar ke kone me chidak dijiye. Cockroach isko khake mar jayenge.

Admin

Post a Comment

Previous Post Next Post